Watchtower Online Library
Watchtower
ONLINE LIBRARY
Hindi (Roman)
  • Bible
  • Prakashan
  • Sabhayen
  • nirgaman 29:1-3
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 29 tu unhein yaajkon ke naate meri seva karne ke liye is tareeke se pavitra thehrana: tu yah sab lena, ek bail, do medhe jinmein koi dosh na ho,+ 2 bin-khameer ki rotiyaan, chhalle jaisi bin-khameer ki rotiyaan jo tel se goondhkar banayi gayi hon aur tel chupdi bin-khameer ki paapdi.+ ye rotiyaan aur paapdi maide se banana 3 aur inhein ek tokri mein rakhna.+ fir bail aur donon medhon ke saath ye rotiyaan aur paapdi arpit karna.

  • laivyavyavastha 6:14, 15
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 14 yah anaj ke chadhave ka niyam hai:+ haaroon ke beto, tumhein yah chadhava yahova ke saamne vedi ke paas laana chahiye. 15 fir tummein se ek yaajak anaj ke chadhave mein se mutthi-bhar maida, thoda-saa tel aur chadhave ke oopar rakha saara loban lega aur use vedi par yahova ke liye prateek* ke taur par jalayega taaki uska dhuaan uthe aur uski sugandh paakaar woh khush ho.+

  • ginti 7:13
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 13 uska chadhava yah tha: chaandi ki ek thaali jiska vazan 130 shekel* tha aur chaandi ka ek katora jiska vazan 70 shekel tha. ye shekel pavitra-sthan ke shekel* ke mutabik the.+ in donon bartanon mein anaj ke chadhave ke liye tel mila maida bhara tha.+

Hindi Roman Publications (2004-2021)
Log-Out
Log-In
  • Hindi (Roman)
  • doosron ko bhejein
  • pasandeeda settings
  • Copyright © 2025 Watch Tower Bible and Tract Society of Pennsylvania
  • istemal ki shartein
  • gopneeyta ki neeti
  • Privacy Settings
  • JW.ORG
  • Log-In
doosron ko bhejein