-
ginti 28:3-8Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
-
-
3 tu unse kehna, ‘tum yahova ke liye jo chadhave aag mein jalakar arpit karoge woh ye hain: har din ek-ek saal ke aise do nar memne chadhana jinmein koi dosh na ho. yah niyamit hom-bali hai.+ 4 ek memna subah chadhana aur doosra shaam ke jhutpute ke samay* chadhana.+ 5 har memne ke saath anaj ka chadhava bhi chadhana. yah chadhava epa ke dasvein bhaag* maide ka hona chahiye jismein ek-chauthai heen* shuddh tel mila ho.+ 6 yah niyamit hom-bali hai.+ is bali ke baare mein niyam tumhein seenai pahad ke paas diya gaya tha. yah aag mein jalakar arpit ki jaani chahiye taaki iski sugandh paakaar yahova khush ho. 7 harek nar memne ke saath ek-chauthai heen madira ka argh bhi chadhana.+ yah argh tum yahova ke liye pavitra jagah mein undelna. 8 doosre nar memne ko tum shaam ke jhutpute ke samay* bali karna. is bali ke saath bhi vahi anaj ka chadhava aur argh chadhana jo tum subah chadhate ho. tum ise yahova ke liye aag mein jalakar arpit karna taaki uski sugandh paakaar woh khush ho.+
-