Watchtower Online Library
Watchtower
ONLINE LIBRARY
Hindi (Roman)
  • Bible
  • Prakashan
  • Sabhayen
  • yahoshoo 7:24
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 24 yahoshoo aur saare israeli, jerah ke bete aakan+ ko aur uski churayi chaandi, mahangi poshak, sone ki int,+ saath hi uske bete-betiyonn, bail, gadhon aur bhed-bakriyon aur uske tamboo ko aur jo kuch uska tha, sabkuch lekar aakor ghaati+ mein aaye.

  • yahoshoo 7:26
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 26 unhonne us par pattharon ka ek bada dher laga diya jo aaj bhi vahaan hai. tab yahova ka krodh shaant ho gaya.+ is ghatna ki vajah se aaj tak woh jagah aakor* ghaati ke naam se jaani jaati hai.

  • yahoshoo 8:29
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 29 usne ai ke raja ko maarkar kaath* par latka diya aur use shaam tak vahin rehne diya. jab sooraj doobnevala tha to yahoshoo ne aagya di ki uski laash kaath se utar di jaaye.+ unhonne laash shehar ke faatak ke saamne feink di aur us par pattharon ka ek bada dher laga diya, jo aaj tak vahaan hai.

  • yahoshoo 10:23
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 23 unhonne aisa hi kiya. woh yarooshalem, hebron, yarmoot, laakeesh aur eglon ke raja+ ko gufa se nikaalkar yahoshoo ke paas le aaye.

  • yahoshoo 10:27
    Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
    • 27 sooraj doobne par yahoshoo ne aadesh diya ki unki laashein kaathon se utar do+ aur usi gufa mein feink do jahaan woh chhipe huye the. unki laashein gufa mein feink di gayin aur uska munh bade-bade pattharon se band kar diya gaya. ye patthar aaj bhi vahin hain.

Hindi Roman Publications (2004-2021)
Log-Out
Log-In
  • Hindi (Roman)
  • doosron ko bhejein
  • pasandeeda settings
  • Copyright © 2025 Watch Tower Bible and Tract Society of Pennsylvania
  • istemal ki shartein
  • gopneeyta ki neeti
  • Privacy Settings
  • JW.ORG
  • Log-In
doosron ko bhejein