obadyah
1 obadyah* ko mila darshan.
usne edom ke baare mein saare jahan ke maalik yahova ka yah sandesh sunaya:+
“hamne yahova se ek khabar suni hai,
raashtron mein ek doot bheja gaya hai jo kehta hai,
‘aao hum us desh ke khilaf yuddh ki taiyari karein.’”+
2 “dekh! mainne tujhe raashtron mein chhota kar diya hai,
tujhe ekdam tuchh samjha jaayega.+
3 hey chattan ki dararon mein rehnevale,
tere gustakh dil ne tujhe dhokha diya hai.+
hey unchaiyon mein basnevale, tu man mein kehta hai,
‘kaun mujhe neeche girayega?’
4 chahe tu ukab ki tarah unchai par apna ghonsla bana le,*
chahe tu taaron ke beech apna ghar bana le,
par main tujhe vahaan se neeche gira doonga.” yah yahova ka ailan hai.
5 “agar raat mein tere yahaan chor-lutere aa jaayen,
to kya woh sirf utna maal nahin looteinge jitna woh chahte hain?
ya agar angoor batornevale tere yahaan aa jaayen,
to kya woh beennevalon ke liye kuch angoor nahin chhod jaayenge?
(par tujhe poori tarah barbad kiya jaayega!)*+
6 dekh, esav ka chappa-chappa chhaana gaya,
uska chhipa khazana dhoondh nikaala gaya.
7 tere saathiyon* ne tujhe dhokha diya,
unhonne tujhe seema tak khaded diya.
jinke saath tera shaanti ka rishta tha, woh tujh par haavi hote hain.
jo tere saath roti khaate hain, vahi tere liye jaal bichhate hain
aur tujhe pata bhi nahin chalta.”
8 yahova ailan karta hai,
“us din main edom ke buddhiman logon ka naash karoonga,+
esav ke pahadi ilake mein paini samajh rakhnevalon ko mita doonga.
9 hey teman, tere yoddha thar-thar kaanpeinge,+
kyonki esav ke pahadi ilake ka har insan maar daala jaayega.+
10 toone apne bhaai yakub par jo zulm kiye hain,+
us kaaran tujhe bahot sharminda hona padega,+
tujhe hamesha ke liye mita diya jaayega.+
11 jis din paraye log uski sena ko bandi banakar le gaye,+
us din tu kinare khada tamasha dekhta raha.
jab pardesi uske shehar* mein ghuskar yarooshalem par chitthiyaan daalne lage,+
tab toone bhi unke jaisa kaam kiya.
12 toone yah achha nahin kiya,
apne bhaai ki barbadi ke din, uski buri haalaat par toone khushiyaan manayin,+
jis din yahooda ke logon ka naash hua, us din toone jashna manaya.+
jab un par museebat tooti to toone badi-badi dingein maari.
13 jis din mere logon par vipatti aayi, tu unke shehar* mein ghusa,+
unki barbadi par hansa, khush hua,
vipatti ke din toone unki daulat par haath daala.+
14 chaurahe par khade hokar toone bhaagnevalon ko maar daala,+
vipatti ke din zinda bachnevalon ko dushmanon ke havale kar diya.+
15 yahova ka woh din kareeb hai, jab woh sab raashtron ke khilaf aayega!+
jaisa toone doosron ke saath kiya, vaisa hi tere saath kiya jaayega,+
tera kiya tere hi sir aa padega.
16 mere pavitra parvat par jis tarah tum log daakh-madira peete rahe,
usi tarah sab raashtra mera krodh peete raheinge.+
unhein mera krodh peena padega, woh use gatak jaayenge
aur aise ho jaayenge maano woh vajood mein the hi nahin.
17 lekin siyyon pahad par woh log raheinge jo zinda bach nikleinge+
aur woh pavitra thehrega.+
yakub ka gharana apni cheezon par dobara adhikar kar lega.+
18 yakub ka gharana aag ban jaayega
aur yoosuf ka gharana laptein.
esav ka gharana ghaas-foos ban jaayega,
jise woh jalakar bhasm kar deinge.
esav ke gharane se koi zinda nahin bachega,+
kyonki yah baat khud yahova ne kahi hai.
19 woh esav ke pahadi ilake aur negeb par,
palishtiyon ke desh aur shafelah par adhikar kar leinge.+
woh epraim aur saamriya ke maidanon par kabza kar leinge.+
aur binyameen, gilad ko apne adhikar mein kar lega.
20 suraksha ki dhalan*+ se le gaye bandiyon ko,
haan, israel ke logon ko woh ilaka diya jaayega,
jo kanaaniyon ke desh se lekar saarpat+ tak faila hai.
aur yarooshalem ke bandi jo saparad mein the, unhein negeb ke shehron par adhikar diya jaayega.+