doosra shamooel
17 fir aheetopel ne abshalom se kaha, “mujhe ijazat de ki main 12,000 aadmi chunkar aaj raat hi daavid ka peechha karoon. 2 main aise vakt par us par toot padoonga jab woh thaka-maanda aur kamzor hoga.*+ main use dara doonga, tab uske saath jitne log hain woh sab bhaag jaayenge. aur raja jab akela reh jaayega to main use maar daaloonga.+ 3 iske baad main baaki sab logon ko tere paas le aaunga. tu jiski talash kar raha hai, use hatane par hi sab log tere paas vaapas aayenge. tab sab log shaanti se raheinge.” 4 aheetopel ka yah sujhav abshalom aur israel ke sabhi mukhiyaon ko ekdam sahi laga.
5 fir bhi abshalom ne kaha, “zara ereki hooshai ko bhi bulao,+ dekhte hain woh kya salah deta hai.” 6 tab hooshai abshalom ke paas aaya. abshalom ne usse kaha, “aheetopel ne hamein yah salah di hai. tujhe kya lagta hai, hamein uski baat maanni chahiye ya nahin? agar nahin, to tu koi salah de.” 7 hooshai ne abshalom se kaha, “aheetopel ne is baar jo salah di, woh sahi nahin hai!”+
8 iske baad hooshai ne kaha, “tu achhi tarah jaanta hai ki tera pita aur uske aadmi kitne taakatvar hain+ aur is samay woh bhadke huye hain, aisi reechhni ki tarah jiske bachche kho gaye hon.+ aur tu yah bhi mat bhool ki tera pita ek veer yoddha hai.+ woh aaj raat logon ke saath nahin rahega. 9 woh to is vakt kisi gufa* mein ya kisi aur jagah chhipa hoga.+ agar usne pehale hamare logon par hamla kar diya, to yah afvah fail jaayegi ki ‘abshalom ke pakshvale haar gaye hain!’ 10 aise mein to sherdil sainikon+ ki bhi himmat toot jaayegi, kyonki poora israel jaanta hai ki tera pita kitna bada soorma hai+ aur uske saathvale aadmi bhi bade diler hain. 11 isliye meri salah hai ki daan se bersheba+ tak ke sabhi israeli tere paas ikattha ho jaayen taaki unki taadad samundar kinare ki baaloo ke kinkon jaisi ho.+ fir tu khud un sabko lekar yuddh mein jaa. 12 woh jahaan bhi mile hum us par aise hamla kareinge, jaise zameen par os ki boondein chhaa jaati hain. tab unmein se koi bach nahin paayega, na to woh aur na hi uska koi aadmi. 13 agar woh kisi shehar mein bhaag jaayega, to hum poore israel ko lekar jaayenge aur us shehar ko naash kar deinge. aur hum shehar ko rasson se ghaseetkar ghaati mein feink deinge taaki vahaan ek patthar bhi na bache.”
14 tab abshalom aur israel ke sabhi aadmiyon ne kaha, “ereki hooshai ki salah aheetopel ki salah se zyada achhi hai!”+ aisa isliye hua kyonki yahova ne thaan liya tha* ki woh aheetopel ki badhiya salah ko naakam kar dega+ taaki yahova abshalom par kehar dhaa sake.+
15 fir hooshai ne yaajak saadok aur yaajak abiyatar ko bataya,+ “aheetopel ne abshalom aur israel ke mukhiyaon ko yah salah di thi jabki mainne yah salah di hai. 16 isliye tum jaldi se daavid ke paas yah sandesh bhejo aur use khabardar karo ki aaj raat woh veerane ke ghaaton* ke paas na rahe, balki har haal mein nadi ke us paar chala jaaye, varna raja aur uske saath jitne log hain woh sab mita diye jaayenge.”+
17 yonatan+ aur aheemas+ en-rogel+ mein thahre huye the kyonki agar log unhein shehar ke andar jaate dekh lete to unhein khatra ho sakta tha. isliye ek daasi ne jaakaar unhein yah khabar di. fir woh donon raja daavid ko yah baat batane ke liye nikaal pade. 18 magar ek javan aadmi ne un donon ko dekh liya aur jaakaar abshalom ko bata diya. isliye woh donon fauran vahaan se bhaag nikle aur bahooreem+ mein ek aadmi ke ghar pahunche. us ghar ke aangan mein ek kuaan tha. woh usmein utaarkar chhip gaye. 19 us aadmi ki patni ne kuyen ka munh ek kapde se dhaanp diya aur us par dala hua anaj faila diya, isliye kisi ko kuch pata nahin chala. 20 abshalom ke sevak us aurat ke ghar aaye aur unhonne usse poochha, “aheemas aur yonatan kahaan hain?” aurat ne kaha, “woh nadi ki taraf chale gaye.”+ abshalom ke aadmiyon ne unhein bahot dhoondha, magar woh kahin nahin mile. isliye woh yarooshalem laut gaye.
21 un aadmiyon ke jaane ke baad woh donon kuyen se nikaalkar oopar aaye. fir unhonne jaakaar raja daavid ko khabar di. unhonne usse kaha, “tu jaldi se nadi ke paar chala jaa kyonki aheetopel ne tera bura karne ke liye yah salah di hai.”+ 22 yah khabar sunte hi daavid aur uske sabhi log vahaan se nikaal pade aur yardan nadi ke paar chale gaye. subah hone tak yardan ke is paar ek bhi aadmi nahin bacha tha.
23 jab aheetopel ne dekha ki uski salah nahin maani gayi, to woh ek gadhe par savaar hokar apne shehar laut gaya.+ usne apne gharane ko zaroori hidaytein di+ aur fir faansi laga li* aur mar gaya.+ use uske purkhon ke kabraistan mein dafnaya gaya.
24 is beech daavid mahnaim+ chala gaya. udhaar abshalom ne israel ke sabhi aadmiyon ke saath yardan paar ki. 25 abshalom ne yoab ki jagah amasa+ ko senapati banaya tha.+ amasa, yitra naam ke ek israeli aadmi ka beta tha jisne naahash ki beti abeegail ke saath sambandh rakhe the.+ abeegail, yoab ki maa sarooyah ki behen thi. 26 abshalom aur uske saathvale sabhi israeliyon ne gilad ke ilake+ mein chhaavni daali.
27 jaise hi daavid mahnaim pahuncha, shobee (jo ammoniyon ke shehar rabbah+ ke rehnevale naahash ka beta tha), maakeer+ (jo lo-debar ke rehnevale ammiel ka beta tha) aur barjillai+ (jo rogleem ka rehnevala giladi tha) uske paas aaye. 28 woh apne saath bistar, katore, mitti ke bartan, gehoon, jau, aata, bhuna hua anaj, baakala, daal, sookha anaj, 29 shehad, makkhan, paneer* aur bhedein le aaye the. woh ye saari cheezen daavid aur uske logon ke liye laaye the+ kyonki unhonne socha, “log veerane mein bhookhe-pyase aur thake-maande honge.”+