Watchtower Online Library
Watchtower
ONLINE LIBRARY
Hindi (Roman)
  • Bible
  • Prakashan
  • Sabhayen
  • nirgaman 13
  • Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad

is bhaag ke liye koi video nahin hai.

maaf keejiye, video download nahin ho paa raha hai.

nirgaman ka saaransh

    • 13

      • har pehalautha yahova ka hai (1, 2)

      • bin-khameer ki roti ka tyohar (3-10)

      • har pehalautha yahova ko arpit kiya gaya (11-16)

      • israel ko laal saagar ki taraf jaane ke liye kaha gaya (17-20)

      • baadal aur aag ka khambha (21, 22)

nirgaman 13:2

footnote

  • *

    ya “pavitra maanna.”

sambandhit aaytein

  • +gi 3:13; 18:15; vya 15:19; lu 2:22, 23

nirgaman 13:3

sambandhit aaytein

  • +nir 12:42; vya 16:3
  • +vya 4:34; na 9:10

nirgaman 13:4

footnote

  • *

    ati. kh15 dekhein.

sambandhit aaytein

  • +vya 16:1

nirgaman 13:5

sambandhit aaytein

  • +ut 15:18; nir 6:5, 8
  • +nir 3:8; 34:11
  • +nir 3:17; vya 8:7-9

nirgaman 13:6

sambandhit aaytein

  • +nir 12:15; 34:18

nirgaman 13:7

sambandhit aaytein

  • +nir 23:15
  • +vya 16:3

nirgaman 13:8

sambandhit aaytein

  • +nir 12:26, 27

nirgaman 13:9

footnote

  • *

    shaa., “tumhari aankhon ke beech.”

sambandhit aaytein

  • +nir 12:14; vya 11:18

nirgaman 13:10

sambandhit aaytein

  • +nir 12:24, 25

nirgaman 13:11

sambandhit aaytein

  • +ut 15:18

nirgaman 13:12

sambandhit aaytein

  • +nir 22:29; 34:19, 20; lai 27:26; gi 3:13; lu 2:22, 23

nirgaman 13:13

sambandhit aaytein

  • +gi 18:15

nirgaman 13:14

sambandhit aaytein

  • +vya 7:7, 8

nirgaman 13:15

sambandhit aaytein

  • +nir 5:2
  • +nir 12:29; bh 78:51

nirgaman 13:16

footnote

  • *

    shaa., “tumhari aankhon ke beech.”

sambandhit aaytein

  • +vya 11:18

nirgaman 13:18

sambandhit aaytein

  • +nir 14:2, 3; gi 33:5

nirgaman 13:19

sambandhit aaytein

  • +ut 50:24, 25; yah 24:32; ibr 11:22

nirgaman 13:21

sambandhit aaytein

  • +nir 14:19
  • +gi 9:15; bh 78:14

nirgaman 13:22

sambandhit aaytein

  • +bh 105:39; 1ku 10:1

doosri

nirg. 13:2gi 3:13; 18:15; vya 15:19; lu 2:22, 23
nirg. 13:3nir 12:42; vya 16:3
nirg. 13:3vya 4:34; na 9:10
nirg. 13:4vya 16:1
nirg. 13:5ut 15:18; nir 6:5, 8
nirg. 13:5nir 3:8; 34:11
nirg. 13:5nir 3:17; vya 8:7-9
nirg. 13:6nir 12:15; 34:18
nirg. 13:7nir 23:15
nirg. 13:7vya 16:3
nirg. 13:8nir 12:26, 27
nirg. 13:9nir 12:14; vya 11:18
nirg. 13:10nir 12:24, 25
nirg. 13:11ut 15:18
nirg. 13:12nir 22:29; 34:19, 20; lai 27:26; gi 3:13; lu 2:22, 23
nirg. 13:13gi 18:15
nirg. 13:14vya 7:7, 8
nirg. 13:15nir 5:2
nirg. 13:15nir 12:29; bh 78:51
nirg. 13:16vya 11:18
nirg. 13:18nir 14:2, 3; gi 33:5
nirg. 13:19ut 50:24, 25; yah 24:32; ibr 11:22
nirg. 13:21nir 14:19
nirg. 13:21gi 9:15; bh 78:14
nirg. 13:22bh 105:39; 1ku 10:1
  • Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
  • 6
  • 7
  • 8
  • 9
  • 10
  • 11
  • 12
  • 13
  • 14
  • 15
  • 16
  • 17
  • 18
  • 19
  • 20
  • 21
  • 22
Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
nirgaman 13:1-22

nirgaman

13 yahova ne moosa se yah bhi kaha, 2 “israeliyon ke har pehalauthe ko mere liye alag thehrana.* insanon ke sabhi pehalauthe ladke aur jaanvaron ke sabhi nar pehalauthe mere hain.”+

3 tab moosa ne logon se kaha, “yah din tum yaad rakhna, kyonki aaj ke din tum gulami ke ghar misra se baahar nikaal aaye ho+ aur yahova ne apne shaktishali haath se tumhein vahaan se aazad kiya hai.+ isliye tum aisi koi bhi cheez na khaana jismein khameer mila ho. 4 is aabib* maheene mein aaj ke din tum yahaan se jaa rahe ho.+ 5 yahova ne jaise tumhare purkhon se shapath khaakaar kaha tha,+ woh tumhein kanaani, hitti, emori, hivvi aur yaboosi+ logon ke desh mein le jaayega jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain.+ vahaan tum is maheene yah tyohar manaya karna: 6 saat din tumhein bin-khameer ki roti khaani hai+ aur saatvein din yahova ke liye ek tyohar hoga. 7 in saat dinon tak tumhein bin-khameer ki roti khaani hogi+ aur is dauran tumhare paas aisi koi bhi cheez na paayi jaaye jismein khameer mila ho.+ tumhare poore ilake mein kahin bhi khameera aata na paaya jaaye. 8 us din tum apne-apne bete ko batana, ‘jab main misra se nikala tha, tab yahova ne meri khaatir jo kiya usi ki yaad mein yah tyohar manaya jaata hai.’+ 9 is tyohar se tumhare dilo-dimag mein us chhutkare ki yaad taaza bani rahegi, maano uske baare mein tumhare haath aur maathe par* likha ho.+ aur tum yahova ke kaanoon ke baare mein charcha karoge, kyonki yahova ne apne shaktishali haath se tumhein misra se baahar nikaala. 10 tum yah niyam har saal tay vakt par zaroor maana karna.+

11 jab yahova tumhein kanaaniyon ke desh mein le jaayega jiske baare mein usne tumse aur tumhare purkhon se shapath khaakaar kaha tha ki woh yah desh tumhein dega,+ 12 tab tummein se har parivar ko chahiye ki woh apna pehalautha yahova ko dene ke liye alag thehraye. aur apne jhund ke har jaanvar ka nar pehalautha bhi parmeshvar ko dene ke liye alag thehraye. insan aur jaanvar, sabke pehalauthe yahova ke hain.+ 13 tum gadhon mein se har pehalauthe ko chhudane ke liye ek bhed dena. agar tum gadhe ke pehalauthe ko nahin chhudate to uska gala kaatkar use maar daalna. aur tumhein apne sabhi pehalauthe beton ko chhudana hoga.+

14 agar bhavishya mein kabhi tumhare bete tumse poochhein, ‘hum aisa kyon karte hain?’ to tum unse kehna, ‘yahova ne apne shaktishali haath se hamein gulami ke ghar, misra se baahar nikaala tha.+ 15 vahaan ka firaun bahot dheeth tha, usne hamein chhodne se saaf inkar kar diya tha.+ isliye yahova ne misriyon ke sabhi pehalauthon ko, insanon ke pehalauthon se lekar jaanvaron ke pehalauthon tak ko maar daala.+ yahi vajah hai ki hum apne sabhi jaanvaron ke nar pehalauthon ko yahova ke liye bali chadhate hain aur apne sabhi pehalauthe beton ko daam dekar chhudate hain.’ 16 yah tyohar tumhare liye haath par lagaye chinh aur maathe par* patti jaisa ho,+ kyonki yahova ne apne shaktishali haath se hamein misra se baahar nikaala hai.”

17 jab firaun ne israeliyon ko jaane diya, to parmeshvar unhein us raaste se nahin le gaya jo palishtiyon ke desh se hokar guzarta hai, iske baavjood ki woh raasta chhota padta. parmeshvar ne kaha, “agar log us raaste jaayenge, to unhein vahaan ke logon se ladna padega. tab ho sakta hai ki woh pachhtane lagein aur misra lautne ka faisla kar lein.” 18 isliye parmeshvar unhein us lambe raaste se le gaya jo laal saagar ke paasvale veerane se hokar jaata hai.+ aur jab israeli misra se nikle to woh sena-dalon ki tarah ek achhe intazam ke mutabik nikle. 19 moosa ne apne saath yoosuf ki haddiyaan bhi lin kyonki yoosuf ne israel ke beton ko shapath dilakar unse kaha tha: “parmeshvar zaroor tum logon par dhyan dega, isliye yahaan se jaate vakt tum meri haddiyaan apne saath le jaana.”+ 20 fir israeli sukkot se ravana huye aur unhonne veerane ke chhor par itam naam ki jagah dera daala.

21 yahova unke aage-aage chalkar unhein raasta dikhata raha. woh din ke vakt baadal ke khambhe se unhein raasta dikhata+ aur raat ke vakt aag ke khambhe se unhein ujala deta tha, isliye woh din aur raat donon samay safar kar sake.+ 22 din ke vakt baadal ka khambha aur raat ke vakt aag ka khambha logon ke saath-saath raha, unse kabhi door nahin gaya.+

Hindi Roman Publications (2004-2021)
Log-Out
Log-In
  • Hindi (Roman)
  • doosron ko bhejein
  • pasandeeda settings
  • Copyright © 2025 Watch Tower Bible and Tract Society of Pennsylvania
  • istemal ki shartein
  • gopneeyta ki neeti
  • Privacy Settings
  • JW.ORG
  • Log-In
doosron ko bhejein