ginti
16 iske baad korah+ aur daatan, abeeram aur on saath ikattha huye. korah yishar ka beta tha,+ yishar kahat ka+ aur kahat levi ka beta tha.+ daatan aur abeeram, rooben ke bete eliab ke bete the+ aur on, rooben+ ke bete peelet ka beta tha. 2 korah, daatan, abeeram aur on milkar moosa ke khilaf uth khade huye. israeliyon mein se 250 aur aadmi unke saath ho liye. ye mandli ke khaas-khaas aadmi the jo pradhan aur chune huye adhikari the. 3 woh sab ek toli banakar moosa aur haaroon ke khilaf khade huye+ aur unse kehne lage, “bahot ho chuki tumhari netagiri! tum kya samajhte ho, tum hi akele pavitra ho? is mandli ka har insan pavitra hai+ aur yahova unke beech hai.+ fir tum kyon yahova ki mandli se khud ko uncha utha rahe ho? tum kyon uske adhikari ban baithe ho?”
4 jab moosa ne yah suna to woh fauran munh ke bal gira. 5 fir usne korah aur uska saath denevale sab logon se kaha, “kal subah yahova yah saaf zahir kar dega ki kaun uska apna hai+ aur kaun pavitra hai aur kise uske paas jaane ka adhikar hai.+ parmeshvar jis kisi ko chunega+ vahi uske paas jaayega. 6 korah aur uske saathiyo,+ tum sab aag ke karchhe le aana+ aur 7 kal subah yahova ke saamne un karchhon mein koyla rakhna aur uske oopar dhoop daalna. tab yahova jis aadmi ko chunega+ vahi pavitra thehrega. levi ke beto,+ tumne had kar di hai!”
8 fir moosa ne korah se kaha, “levi ke beto, meharbani karke meri baat suno. 9 israel ke parmeshvar ne tumhein jo samman diya hai, kya tum use maamooli samajhne lage ho? yahova ne israel ki mandli mein se tum logon ko alag kiya hai+ aur tumhein apne paas aane ki ijazat di hai taaki tum uske dere mein kaam karo aur poori mandli ke saamne khade hokar uski seva karo.+ 10 usne tujhe aur tere sabhi bhaaiyon ko, levi ke beton ko apne kareeb aane diya hai. kya yah kaafi nahin jo ab tum yaajakpad bhi hathiyana chahte ho?+ 11 tu aur tere sabhi saathi jo aaj ekjut ho gaye hain, tum sabne darasal yahova ke khilaf apna sir uthaya hai. aur haaroon kya hai jo tum uske khilaf kudkuda rahe ho?”+
12 baad mein moosa ne eleeab ke bete daatan aur abeeram+ ke paas sandesh bheja ki woh uske paas aayen. magar unhonne kaha, “nahin, hum nahin aayenge! 13 toone ab tak hum par jo zulm kiye hain kya woh kam hain? tu hamein us desh se, jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain, isliye nikaal laaya ki hamein veerane mein maar daale.+ aur ab kya tu hum sab par akela raaj karna chahta hai?* 14 kahaan hai woh desh jiske baare mein tu kehta hai ki vahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain+ aur jahaan tu hamein virasat mein khet aur angooron ka baag dega? kya tu chahta hai ki log aankh moondkar tere peechhe-peechhe chalte rahein?* hum tere paas hargiz nahin aayenge!”
15 tab moosa ko bahot gussa aaya aur usne yahova se kaha, “tu unka diya hua anaj ka chadhava bilkul sweekar na karna. mainne kabhi unse kuch nahin liya, ek jaanvar tak nahin aur na hi unmein se kisi ka kuch bura kiya hai.”+
16 fir moosa ne korah se kaha, “kal tu aur tera saath denevale sab aadmi yahova ke saamne haazir ho jaayen. aur haaroon bhi vahaan aayega. 17 tummein se har koi apna-apna aag ka karchha le aur usmein dhoop daale. aur 250 karchhe tum yahova ke saamne rakhna. iske alava, tera aur haaroon ka bhi ek-ek karchha hoga.” 18 tab unmein se har koi apna-apna aag ka karchha lekar aaya aur unhonne usmein jalta koyla aur dhoop daala. fir woh sab jaakaar moosa aur haaroon ke saath bheint ke tamboo ke dvar par khade huye. 19 jab korah apne saathiyon+ ko ikattha karke moosa aur haaroon ke khilaf bheint ke tamboo ke dvar par khada hua, to yahova ki mahima poori mandli par prakat hui.+
20 ab yahova ne moosa aur haaroon se kaha, 21 “tum donon in logon ki toli se hatkar door chale jaao. main in sabko ek hi pal mein naash karne jaa raha hoon.”+ 22 yah sunte hi moosa aur haaroon ne munh ke bal zameen par girkar parmeshvar se binti ki, “hey parmeshvar, tu jo har kisi ko jeevan deta hai,+ kya tu ek aadmi ke paap ki vajah se poori mandli par bhadak uthega?”+
23 tab yahova ne moosa se kaha, 24 “theek hai, tu logon ki mandli se kehna, ‘tum log korah, daatan aur abeeram+ ke tambuon se door chale jaao!’”
25 fir moosa utha aur daatan aur abeeram ke paas gaya. uske saath israel ke mukhiya+ bhi gaye. 26 usne logon ki mandli se binti ki, “tum sab in dushton ke tambuon se door chale jaao, inki kisi bhi cheez ko haath mat lagana. kahin aisa na ho ki unke paap ki vajah se tumhein bhi mita diya jaaye.” 27 tab woh sabhi log, jo korah, daatan aur abeeram ke tambuon ke aas-paas the, vahaan se fauran bhaagkar door chale gaye. fir daatan aur abeeram apne-apne tamboo se baahar nikle aur apni patniyon, beton aur chhote-chhote bachchon ke saath dvar par khade huye.
28 tab moosa ne kaha, “aaj tum sab par yah saaf zahir ho jaayega ki yah sab main apni marzee se nahin kar raha balki yahova ne hi mujhe aisa karne ke liye bheja hai. yah tum is tarah jaan sakoge: 29 agar in sab par vaisi hi maut aaye jaisi sab insanon par aati hai ya unka vaisa hi ant ho jaisa sab insanon ka hota hai, to samajh lena ki yahova ne mujhe nahin bheja hai.+ 30 lekin agar yahova inhein aisi saza deta hai jo aaj tak kisi ne nahin suni hai, agar zameen munh khole aur inhein aur jo kuch inka hai woh sab nigal jaaye aur ye sabhi zinda kabraa mein sama jaayen, to tum beshak jaan jaaoge ki in logon ne yahova ki beizzati ki hai.”
31 jaise hi moosa ne apni yah baat poori ki, un logon ke pairon ke neeche ki zameen fat gayi+ 32 aur zameen ne munh kholkar unhein aur unke gharanon ko, saath hi korah ke gharane ke sabhi logon+ aur unki sabhi cheezon ko nigal liya. 33 woh aur unke gharane ke sab log zinda kabraa mein sama gaye aur fir zameen ka munh band ho gaya. is tarah mandli mein se un sab logon ka naamo-nishan mit gaya.+ 34 unka cheekhna-chillana sunkar aas-paas khade sabhi israeli door bhaagne lage. woh kehne lage, “kahin yah zameen hamein bhi na nigal jaaye!” 35 iske baad yahova ki taraf se aag barsi+ aur un 250 aadmiyon ko bhasm kar gayi jo dhoop chadha rahe the.+
36 ab yahova ne moosa se kaha, 37 “haaroon yaajak ke bete eliazar se kehna ki woh aag mein se karchhe uthaye,+ kyonki ye pavitra hain aur fir aag door tak idhar-udhaar faila de. 38 jo aadmi paap karke apni jaan ganva baithe hain, unke aag ke karchhon ko peetkar unse pattar banaye jaayen aur unse vedi+ madh di jaaye. unhonne ye karchhe yahova ke saamne pesh kiye the, isliye ye karchhe pavitra hain. aur ye israeliyon ke liye ek nishani thehreinge.”+ 39 tab eliazar yaajak ne un aadmiyon ke laaye huye tambe ke karchhe liye jo bhasm ho gaye the aur un karchhon ko peetkar unse vedi madh di, 40 theek jaise yahova ne moosa ke zariye use bataya tha. yah israeliyon ke liye ek yaadgar tha ki dhoop jalane ka adhikar sirf haaroon ke vanshajon ko hai aur aisa koi bhi insan jise adhikar nahin hai,* yahova ke saamne dhoop jalane ki jurrat na kare+ aur korah aur uske saathiyon ki tarah na bane.+
41 is ghatna ke agle hi din israeliyon ki poori mandli moosa aur haaroon ke khilaf yah kehkar kudkudane lagi,+ “tum donon ne yahova ke logon ko maar daala hai.” 42 jab logon ki mandli moosa aur haaroon ke khilaf ikattha hui, to woh sab bheint ke tamboo ki taraf mude. aur dekho! baadal tamboo par chhaa gaya aur yahova ki mahima prakat hone lagi.+
43 moosa aur haaroon bheint ke tamboo ke saamne gaye+ 44 aur yahova ne moosa se kaha, 45 “tum donon is mandli ke beech se hatkar door chale jaao. main in sabko ek hi pal mein naash karne jaa raha hoon.”+ tab woh donon munh ke bal zameen par gire.+ 46 fir moosa ne haaroon se kaha, “tu aag ka karchha le aur vedi mein se jalta hua koyla lekar+ usmein daal aur fir usmein dhoop rakh aur fauran mandli ke paas jaa aur unke liye prayashchit kar,+ kyonki yahova ka krodh un par bhadak utha hai. logon par kehar barasna shuroo ho chuka hai!” 47 tab haaroon ne moosa ke kahe mutabik fauran aag aur dhoop liya aur bhaagkar mandli ke beech gaya aur dekho! tab tak logon par kehar barasna shuroo ho chuka tha. isliye usne aag ke karchhe mein dhoop daala aur woh logon ke liye prayashchit karne laga. 48 haaroon logon ke beech hi khada raha. uske ek taraf zinda log the aur doosri taraf mare huye. fir kuch samay baad kehar tham gaya. 49 korah ki vajah se pehale jo maare gaye the, unke alava is kehar se 14,700 log mar gaye. 50 kehar tham jaane ke baad haaroon vaapas moosa ke paas bheint ke tamboo ke dvar par gaya.