Watchtower Online Library
Watchtower
ONLINE LIBRARY
Hindi (Roman)
  • Bible
  • Prakashan
  • Sabhayen
  • 2 shamooel 23
  • Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad

is bhaag ke liye koi video nahin hai.

maaf keejiye, video download nahin ho paa raha hai.

2 shamooel ka saaransh

    • 23

      • daavid ke aakhiri shabd (1-7)

      • daavid ke veer yoddhaon ke kaarname (8-39)

2 shamooel 23:1

footnote

  • *

    ya “pyara jan.”

sambandhit aaytein

  • +ut 49:1; vya 33:1
  • +1sh 17:58; mat 1:6
  • +2sh 7:8
  • +1sh 16:13
  • +1it 16:9

2 shamooel 23:2

sambandhit aaytein

  • +mar 12:36; 2ti 3:16
  • +pre 1:16; 2pa 1:21

2 shamooel 23:3

sambandhit aaytein

  • +vya 32:4; bh 144:1
  • +nee 29:2; yash 9:7; 32:1
  • +nir 18:21; yash 11:3

2 shamooel 23:4

sambandhit aaytein

  • +mal 4:2; mat 17:2; pra 1:16
  • +bh 72:1, 6

2 shamooel 23:5

sambandhit aaytein

  • +2sh 7:16, 19; 1it 17:11; bh 89:3, 28, 29; 132:11
  • +yash 9:7; 11:1; aam 9:11

2 shamooel 23:6

sambandhit aaytein

  • +bh 37:10

2 shamooel 23:8

sambandhit aaytein

  • +2sh 10:7; 20:7; 1it 11:10
  • +1it 11:11

2 shamooel 23:9

sambandhit aaytein

  • +1it 11:12-14
  • +1it 27:1, 4

2 shamooel 23:10

footnote

  • *

    ya “uddhaar dilaya.”

sambandhit aaytein

  • +nya 8:4
  • +nya 15:14, 16; 1sh 14:6; 19:5

2 shamooel 23:12

footnote

  • *

    ya “uddhaar dilaya.”

sambandhit aaytein

  • +bh 3:8; 44:3

2 shamooel 23:13

footnote

  • *

    ya “basti.”

sambandhit aaytein

  • +yah 15:20, 35; 1sh 22:1
  • +yah 15:1, 8; 2sh 5:22; 1it 11:15-19

2 shamooel 23:14

sambandhit aaytein

  • +1sh 22:1, 4; 1it 12:16

2 shamooel 23:16

sambandhit aaytein

  • +lai 9:9; 17:13

2 shamooel 23:17

sambandhit aaytein

  • +ut 9:4; lai 17:10

2 shamooel 23:18

sambandhit aaytein

  • +1sh 26:6; 2sh 21:17
  • +2sh 2:18; 1it 2:15, 16
  • +1it 11:20, 21

2 shamooel 23:20

footnote

  • *

    shaa., “ek veer ka beta tha.”

sambandhit aaytein

  • +2sh 8:18; 20:23; 1ra 1:8; 2:29; 1it 27:5, 6
  • +yah 15:21
  • +1it 11:22-25; nee 30:30

2 shamooel 23:24

sambandhit aaytein

  • +2sh 2:18, 23; 1it 2:15, 16; 27:1, 7
  • +1it 11:26-41

2 shamooel 23:26

sambandhit aaytein

  • +1it 27:1, 10
  • +1it 27:1, 9

2 shamooel 23:27

sambandhit aaytein

  • +yah 21:8, 18; yir 1:1
  • +1it 27:1, 12

2 shamooel 23:28

sambandhit aaytein

  • +1it 27:1, 13

2 shamooel 23:30

footnote

  • *

    shabdavli dekhein.

sambandhit aaytein

  • +1it 27:1, 14
  • +nya 2:8, 9

2 shamooel 23:34

sambandhit aaytein

  • +2sh 15:31; 16:23; 17:23; 1it 27:33

2 shamooel 23:38

sambandhit aaytein

  • +1it 2:53

2 shamooel 23:39

sambandhit aaytein

  • +2sh 11:3; 1ra 15:5

doosri

2 sham. 23:1ut 49:1; vya 33:1
2 sham. 23:11sh 17:58; mat 1:6
2 sham. 23:12sh 7:8
2 sham. 23:11sh 16:13
2 sham. 23:11it 16:9
2 sham. 23:2mar 12:36; 2ti 3:16
2 sham. 23:2pre 1:16; 2pa 1:21
2 sham. 23:3vya 32:4; bh 144:1
2 sham. 23:3nee 29:2; yash 9:7; 32:1
2 sham. 23:3nir 18:21; yash 11:3
2 sham. 23:4mal 4:2; mat 17:2; pra 1:16
2 sham. 23:4bh 72:1, 6
2 sham. 23:52sh 7:16, 19; 1it 17:11; bh 89:3, 28, 29; 132:11
2 sham. 23:5yash 9:7; 11:1; aam 9:11
2 sham. 23:6bh 37:10
2 sham. 23:82sh 10:7; 20:7; 1it 11:10
2 sham. 23:81it 11:11
2 sham. 23:91it 11:12-14
2 sham. 23:91it 27:1, 4
2 sham. 23:10nya 8:4
2 sham. 23:10nya 15:14, 16; 1sh 14:6; 19:5
2 sham. 23:12bh 3:8; 44:3
2 sham. 23:13yah 15:20, 35; 1sh 22:1
2 sham. 23:13yah 15:1, 8; 2sh 5:22; 1it 11:15-19
2 sham. 23:141sh 22:1, 4; 1it 12:16
2 sham. 23:16lai 9:9; 17:13
2 sham. 23:17ut 9:4; lai 17:10
2 sham. 23:181sh 26:6; 2sh 21:17
2 sham. 23:182sh 2:18; 1it 2:15, 16
2 sham. 23:181it 11:20, 21
2 sham. 23:202sh 8:18; 20:23; 1ra 1:8; 2:29; 1it 27:5, 6
2 sham. 23:20yah 15:21
2 sham. 23:201it 11:22-25; nee 30:30
2 sham. 23:242sh 2:18, 23; 1it 2:15, 16; 27:1, 7
2 sham. 23:241it 11:26-41
2 sham. 23:261it 27:1, 10
2 sham. 23:261it 27:1, 9
2 sham. 23:27yah 21:8, 18; yir 1:1
2 sham. 23:271it 27:1, 12
2 sham. 23:281it 27:1, 13
2 sham. 23:301it 27:1, 14
2 sham. 23:30nya 2:8, 9
2 sham. 23:342sh 15:31; 16:23; 17:23; 1it 27:33
2 sham. 23:381it 2:53
2 sham. 23:392sh 11:3; 1ra 15:5
  • Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
  • 6
  • 7
  • 8
  • 9
  • 10
  • 11
  • 12
  • 13
  • 14
  • 15
  • 16
  • 17
  • 18
  • 19
  • 20
  • 21
  • 22
  • 23
  • 24
  • 25
  • 26
  • 27
  • 28
  • 29
  • 30
  • 31
  • 32
  • 33
  • 34
  • 35
  • 36
  • 37
  • 38
  • 39
Pavitra Shastra ka Nayi Duniya Anuvad
2 shamooel 23:1-39

doosra shamooel

23 daavid ne aakhir mein jo shabd kahe woh ye hain:+

“ye bol yishai ke bete daavid+ ke hain,

us aadmi ke, jise uncha uthaya gaya,+

jo yakub ke parmeshvar ka abhishikt jan+

aur israel mein madhur gaayak* hai.+

 2 yahova ki pavitra shakti ne mere zariye baat ki.+

uska vachan meri zaban par tha.+

 3 israel ke parmeshvar ne,

israel ki chattan+ ne mujhse kaha,

‘jab insanon par raaj karnevala nek hota hai+

parmeshvar ka dar maankar raaj karta hai,+

 4 to uska raaj subah ke ujale jaisa hota hai,+

jab sooraj khule aasman mein chamakta hai.

uska raaj baarish ke baad nikaalnevali dhoop jaisa hota hai,

jisse zameen par hari-hari ghaas ug aati hai.’+

 5 kya mera gharana parmeshvar ki nazar mein bilkul aisa hi nahin?

usne mere saath sada ka karar kiya hai,+

jo bade kaayde se taiyar kiya gaya hai aur kabhi nahin toda jaayega.

yah karar mujhe poori tarah uddhaar dilayega aur saari khushiyaan dega,

kya yahi vajah nahin ki woh mere gharane ko badhata hai?+

 6 magar sabhi nikamme aadmiyon ko kanteeli jhaadiyon ki tarah feink diya jaata hai.+

unhein haathon se nahin uthaya jaa sakta.

 7 unhein uthane ke liye lohe ka auzar aur bhaala hona zaroori hai,

unhein unki jagah par aag se poori tarah jala dena chahiye.”

8 daavid ke veer yoddhaon ke naam ye hain:+ tahak-moni yosheb-bashebet jo teen soormaon mein mukhiya tha.+ ek baar usne apne bhaale se 800 se zyada dushmanon ko maar giraya tha. 9 agla soorma tha eliazar,+ jo dodo+ ka beta aur ahohi ka pota tha. ek baar jab palishti israel se yuddh karne aaye, to daavid ke teen soorma uske saath the aur inhonne palishtiyon ko lalkara tha. eliazar unmein se ek tha. ladai ke vakt israeli sainik bhaag gaye, 10 magar eliazar maidan mein data raha. woh palishtiyon ko tab tak maar girata raha jab tak ki uska haath thak nahin gaya aur uski mutthi talvar par jam na gayi.+ us din yahova ne israeliyon ko shaandar jeet dilayi.*+ fir maare gaye logon ki cheezen lootne ke liye israeli sainik eliazar ke paas laut aaye.

11 agla soorma tha shammah. woh harari aagi ka beta tha. ek baar palishti israeliyon se yuddh karne lahi mein ikattha huye, jahaan masoor ka ek khet tha. log palishtiyon ko dekhkar bhaag gaye, 12 magar shammah khet ke beechon-beech khada uski raksha karta raha aur palishtiyon ko maar girata raha. isliye yahova ne israeliyon ko badi jeet dilayi.*+

13 daavid ki sena ke 30 mukhiyaon mein se teen aadmi katai ke dinon mein adullam ki gufa mein gaye jahaan daavid tha.+ palishtiyon ki ek tukdi* rapai ghaati mein chhaavni daale hui thi.+ 14 us vakt daavid ek mehfooz jagah par tha+ aur palishtiyon ki ek chauki betlehem mein thi. 15 tab daavid ne kaha, “kaash! mujhe betlehem ke faatakvale kund se thoda paani peene ko mil jaata!” 16 tab uske teen soorma palishti sena ko cheerkar unki chhaavni mein ghus gaye aur unhonne betlehem ke faatakvale kund se paani nikaala aur daavid ke paas le aaye. magar daavid ne paani peene se inkar kar diya aur yahova ke saamne undel diya.+ 17 usne kaha, “hey yahova, main yah paani peene ki soch bhi nahin sakta. main in aadmiyon ka khoon kaise pi sakta hoon+ jinhonne apni jaan jokhim mein daal di thi?” iseeliye daavid ne woh paani peene se inkar kar diya. uske teen soormaon ne ye bade-bade kaam kiye the.

18 abeeshai,+ jo yoab ka bhaai aur sarooyah ka beta tha,+ teen aur yoddhaon ka adhikari tha. usne apne bhaale se 300 se bhi zyada dushmanon ko maar giraya tha. woh bhi un teen yoddhaon jitna mashhoor tha.+ 19 haalanki woh un teen yoddhaon se zyada kushal tha aur unka mukhiya tha, fir bhi woh pehale teen soormaon ke barbar nahin pahuncha.

20 yahoyada ka beta banayah+ bhi ek diler sainik tha.* usne kabsel+ mein kai bahaduri ke kaam kiye the. usne moab ke rehnevale ariel ke do beton ko maar giraya aur ek din jab bahot barf pad rahi thi to usne ek sookhe haud ke andar jaakaar ek sher ko maar daala.+ 21 usne ek misri aadmi ko bhi maar daala tha jo bahot hi unchi kad-kaathi ka tha. us misri ke haath mein bhaala tha jabki banayah ke haath mein sirf ek danda tha. banayah ne uska bhaala chheen liya aur usi ke bhaale se use maar daala. 22 yahoyada ke bete banayah ne ye bade-bade kaam kiye the. woh un teen soormaon jitna mashhoor tha. 23 haalanki woh tees yoddhaon se zyada kushal tha, fir bhi woh un teen soormaon ke barbar nahin pahuncha. lekin daavid ne banayah ko hi apne angrakshakon ka adhikari thehraya.

24 ye aadmi daavid ke tees veer yoddhaon mein se the: yoab ka bhaai asahel,+ betlehem ke rehnevale dodo ka beta elhanan,+ 25 harod ka rehnevala shammah, harod ka rehnevala eleeka, 26 paaleti heles,+ takoa ke rehnevale ikkesh ka beta ira,+ 27 anatot+ ka rehnevala abiejer,+ hooshai mabunne, 28 ahohi ke gharane ka zalmon, natopa ka rehnevala mahrai,+ 29 natopa ke rehnevale baanah ka beta heleb, binyameen gotra ke giba ke rehnevale reebai ka beta ittai, 30 piraton ka rehnevala banayah,+ gaash+ ki ghaatiyon* ka rehnevala hiddai, 31 bet-arba ka rehnevala abee-albon, barhoomi ka rehnevala azmavet, 32 shaalaboni eleeyaba, yaashen ke bete, yonatan, 33 harari shammah, harari shaarar ka beta aheeam, 34 ek maakati aadmi ke bete ahasabai ka beta eleepelet, geelo ke rehnevale aheetopel+ ka beta eleeam, 35 karmel ka rehnevala hesro, arab shehar ka rehnevala paarai, 36 soba ke rehnevale naatan ka beta yigal, gaad gotra ka baani, 37 ammoni selek, baerot ka rehnevala nahrai jo sarooyah ke bete yoab ka hathiyar dhonevala sainik tha, 38 yitri ira, yitri gaareb+ 39 aur hitti uriyah.+ daavid ke veer yoddhaon ki kul ginti 37 thi.

Hindi Roman Publications (2004-2021)
Log-Out
Log-In
  • Hindi (Roman)
  • doosron ko bhejein
  • pasandeeda settings
  • Copyright © 2025 Watch Tower Bible and Tract Society of Pennsylvania
  • istemal ki shartein
  • gopneeyta ki neeti
  • Privacy Settings
  • JW.ORG
  • Log-In
doosron ko bhejein