ginti
12 ab miryam aur haaroon ne moosa ke khilaf kudkudana shuroo kiya kyonki moosa ki patni ek kooshi aurat thi.+ 2 woh kehne lage, “kya yahova ne sirf moosa ke zariye hi baat ki hai? kya usne hamare zariye baat nahin ki hai?”+ yahova sabkuch sun raha tha.+ 3 moosa dharti ke sab insanon mein se sabse deen swabhav ka tha.*+
4 yahova ne fauran moosa, haaroon aur miryam se kaha, “tum teenon bheint ke tamboo ke paas jaao.” tab woh teenon tamboo ke paas gaye. 5 yahova baadal ke khambhe mein utra+ aur tamboo ke dvar par khada hua. fir usne haaroon aur miryam ko aage aane ke liye kaha aur woh donon aage gaye. 6 parmeshvar ne unse kaha, “tum donon meri baat dhyan se suno. agar tum logon ke beech yahova ka koi bhavishyavakta hota, to main us par darshan ke zariye khud ko prakat karta+ aur usse sapne mein baat karta.+ 7 magar mere sevak moosa ki baat alag hai. mainne use apne poore gharane par adhikar saunpa hai.*+ 8 main usse aamne-saamne baat karta hoon+ aur use paheliyon mein nahin balki saaf-saaf apni baat batata hoon. aur khud yahova uske saamne prakat hota hai. fir tum donon ne mere sevak moosa ke khilaf baat karne ki jurrat kaise ki?”
9 yahova un donon par bahot gussa hua aur unke paas se chala gaya. 10 baadal tamboo ke oopar se door hat gaya aur tabhi achanak miryam ko kodh ho gaya aur uska poora shareer barf jaisa safed ho gaya.+ jab haaroon ne mudkar miryam par nazar daali to usne dekha ki use kodh ho gaya hai.+ 11 haaroon ne fauran moosa se binti ki, “hey maalik, hum par reham kar! hamare paap ki itni badi saza mat de. hamne sachmuch bevkoofi ki hai. 12 miryam ko aise mare huye bachche ki tarah mat rehne de jo apni maa ke garbh se adhgala paayenge hai.” 13 tab moosa ne gidgidakar yahova se binti ki, “hey parmeshvar, daya karke miryam ko theek kar de! us par reham kar!”+
14 yahova ne moosa se kaha, “agar uska pita uske munh par thookta to kya woh saat din tak apman nahin sahti? use saat din tak chhaavni ke baahar akele rehne de.+ uske baad use vaapas chhaavni mein laaya jaa sakta hai.” 15 isliye miryam ko saat din tak chhaavni se baahar akele rehne diya gaya.+ aur jab tak use vaapas chhaavni mein nahin laaya gaya tab tak logon ne vahaan se apna padav nahin uthaya. 16 fir log haserot se padav uthakar+ aage badhe aur unhonne paaran veerane mein chhaavni daali.+