ginti
9 israeliyon ke misra se nikaalne ke doosre saal ke pehale maheene mein yahova ne seenai veerane mein moosa se kaha,+ 2 “israeliyon ko chahiye ki fasah ke liye jo vakt tay kiya gaya hai,+ us vakt par woh fasah ka balidan taiyar karein.+ 3 is maheene ke 14vein din, shaam ke jhutpute ke samay* tum tay vakt par yah balidan taiyar karna. fasah ke baare mein jo-jo vidhiyaan aur tareeke bataye gaye hain, tum theek usi tarah taiyari karna.”+
4 tab moosa ne israeliyon se fasah ka balidan taiyar karne ke liye kaha. 5 unhonne pehale maheene ke 14vein din, shaam ke jhutpute ke samay* seenai veerane mein fasah ka balidan taiyar kiya. yahova ne moosa ko jo-jo aagya di thi, israeliyon ne woh sab kiya.
6 magar kuch aadmi us din fasah ka balidan nahin taiyar kar paaye kyonki woh ek laash chhoone ki vajah se ashuddh ho gaye the.+ isliye woh moosa aur haaroon ke paas gaye+ 7 aur unhonne usse kaha, “hum log ek laash chhoone ki vajah se ashuddh ho gaye hain. fir bhi hum sab israeliyon ke saath tay vakt par yahova ke liye balidan chadhana chahte hain. isliye hum tujhse binti karte hain ki hamein bata, hum kya karein?”+ 8 moosa ne unse kaha, “theek hai, main yahova se poochhkar aata hoon ki is baare mein uski kya aagya hai.+ tum log yahin mera intazar karo.”
9 fir yahova ne moosa se kaha, 10 “israeliyon se kehna, ‘agar tummein se koi aadmi ya tumhari aanevali peedhiyon mein se koi aadmi kisi laash ko chhoone ki vajah se ashuddh ho jaaye+ ya agar woh kahin door safar par ho, to bhi use yahova ke liye fasah ka balidan taiyar karna chahiye. 11 use doosre maheene ke 14vein din shaam ke jhutpute ke samay* yah taiyari karni chahiye.+ use fasah ke jaanvar ka gosht, bin-khameer ki roti aur kadve saag ke saath khaana chahiye.+ 12 use agli subah tak gosht bachakar nahin rakhna chahiye+ aur uski ek bhi haddi nahin todni chahiye.+ use saari vidhiyon ke mutabik hi taiyari karni chahiye. 13 lekin agar koi aadmi shuddh hai ya door safar par nahin hai, fir bhi woh laaparvah hokar fasah ka balidan nahin taiyar karta, to use maut ki saza di jaaye+ kyonki usne tay vakt par yahova ko balidan nahin chadhaya hai. use apne paap ka lekha dena hoga.
14 agar tumhare beech koi pardesi rehta hai, to use bhi yahova ke liye fasah ka balidan taiyar karna chahiye.+ fasah ke baare mein jo-jo vidhiyaan aur tareeke bataye gaye hain, theek usi tarah use yah taiyari karni chahiye.+ tum sabke liye ek hi vidhi hogi, fir chahe tum paidaishi israeli ho ya pardesi.’”+
15 jis din pavitra dera yaani gavahi ke sandook ka tamboo khada kiya gaya tha,+ us din uske oopar baadal aakaar chhaa gaya. magar shaam ko woh dere ke oopar aag-saa dikhayi dene laga aur subah tak vaisa hi raha.+ 16 aisa har din hota raha: din mein pavitra dere ke oopar baadal hota aur raat ko woh aag-saa dikhayi deta.+ 17 jab bhi tamboo ke oopar se baadal hatta to israeli fauran apna padav uthakar aage badhne lagte.+ aur jahaan baadal ruk jaata, vahin woh apni chhaavni daalte.+ 18 yahova ke aadesh par israeli ravana hote aur yahova ke aadesh par hi woh apni chhaavni daalte.+ jab tak baadal pavitra dere ke oopar thehra rehta tab tak woh apni chhaavni daale rehte. 19 agar baadal bahot dinon tak dere ke oopar thehra rehta, to israeli yahova ki aagya maankar utne dinon tak apna padav nahin uthate.+ 20 lekin kabhi-kabhi baadal kuch hi dinon ke liye dere ke oopar thaharta. yahova ke aadesh par israeli apni chhaavni daale rehte aur yahova ke aadesh par hi woh ravana hote. 21 kabhi-kabhi to baadal sirf shaam se subah tak hi thaharta tha. subah jab baadal dere par se uthta to woh ravana ho jaate. chahe din ho ya raat, jab bhi baadal dere ke oopar se uthta, israeli apna padav uthakar chal dete.+ 22 aur baadal dere ke oopar chahe do din ya ek maheena ya usse bhi zyada samay tak rukta, israeli utne samay tak apni chhaavni daale rehte aur padav nahin uthate. lekin jab baadal uthta tab woh bhi apna padav uthakar chal dete. 23 yahova ke aadesh par woh apna padav daalte aur yahova ke aadesh par hi woh ravana hote. woh yahova ki har aagya maante the. yahova unse moosa ke zariye jo kehta woh vahi karte the.