ginti
6 yahova ne moosa se yah bhi kaha, 2 “israeliyon se kehna, ‘agar koi aadmi ya aurat yahova ke liye naazeer*+ bankar seva karne ki khaas mannat maane, 3 to use daakh-madira ya kisi bhi kism ki sharab nahin peeni chahiye. use daakh-madira ya kisi bhi tarah ki sharab se bana sirka nahin peena chahiye.+ na angooron se bana koi ras peena chahiye, na hi taaze angoor ya kishmish khaani chahiye. 4 woh jitne dinon ke liye naazeer ki mannat maanta hai utne din use angoor ki bel ki upaj se bani koi bhi cheez nahin khaani chahiye, kachche angoor se lekar chhilke tak se bani koi bhi cheez.
5 woh jitne dinon ke liye naazeer ki mannat maanta hai, utne dinon tak uske sir par ustara nahin chalna chahiye.+ use chahiye ki woh apne sir ke baal badhne de aur is tarah khud ko pavitra banaye rakhna chahiye. use tab tak aise rehna chahiye jab tak ki yahova ke liye alag thehraye jaane ke uske din poore nahin ho jaate. 6 woh jitne dinon tak yahova ki seva ke liye alag thehraya jaata hai, utne dinon tak woh kisi ki bhi laash* ke kareeb na jaaye. 7 yahaan tak ki agar uske pita, uski maa, uske bhaai ya uski behen ki maut ho jaaye, tab bhi use unki laash chhookar dooshit nahin hona chahiye,+ kyonki uske lambe baal is baat ki nishani hain ki usne naazeer bankar parmeshvar ki seva karne ki mannat maani hai.
8 woh jitne dinon ke liye mannat maanta hai utne din woh yahova ke liye pavitra rehta hai. 9 lekin agar uske paas achanak kisi ki maut ho jaaye+ to uske sir ke baal dooshit ho jaayenge jo is baat ki nishani hain ki woh parmeshvar ke liye alag thehraya gaya hai.* use us din apna sir mundvana chahiye+ jis din use shuddh thehraya jaayega. use saatvein din apna sir mundvana chahiye. 10 fir aathvein din use do faakhte ya kabootar ke do bachche laakaar bheint ke tamboo ke dvar par yaajak ko dene chahiye. 11 yaajak ek chidiya ki paap-bali aur doosri ki hom-bali chadhayega aur uske paap ka prayashchit karega+ kyonki woh laash chhoone ki vajah se doshi ho gaya hai. use chahiye ki woh usi din apne sir ko pavitra thehraye. 12 use dosh-bali ke liye ek saal ka nar memna laana chahiye aur yahova ke liye naazeer bankar seva karne ke khaas mannat ke din dobara shuroo karne chahiye, kyonki dooshit ho jaane ki vajah se uske mannat ke guzre huye din nahin gine jaayenge.
13 ek naazeer ke liye yah niyam hai: jis din uski mannat poori hoti hai,+ us din use bheint ke tamboo ke dvar par laaya jaaye. 14 vahaan use yahova ke liye yah sab arpit karna chahiye: hom-bali ke liye ek saal ka nar memna jismein koi dosh na ho,+ paap-bali ke liye ek saal ki maada memna jismein koi dosh na ho,+ shaanti-bali ke liye ek medha jismein koi dosh na ho,+ 15 tokri-bhar chhalle jaisi bin-khameer ki rotiyaan jo tel se gundhe huye maide se bani hon aur tel chupdi bin-khameer ki paapdiyaan. use is chadhave ke saath anaj ka chadhava+ aur argh bhi laana chahiye.+ 16 yaajak yah sab yahova ke saamne le jaayega aur mannat maannevale ki paap-bali aur hom-bali chadhayega. 17 woh yahova ko bin-khameer ki rotiyon se bhari tokri ke saath shaanti-bali ka medha arpit karega. yaajak medhe ke saath anaj ka chadhava+ aur argh bhi chadhayega.
18 fir naazeer ko bheint ke tamboo ke dvar par apne sir ke lambe baal mundvane chahiye,*+ jo usne mannat ke din badhaye the. woh apne kate huye baal us aag mein daalega jiske oopar shaanti-bali ka jaanvar jal raha hoga. 19 iske baad yaajak medhe ka ek kandha lega jo ubaala gaya hai+ aur tokri se bin-khameer ki chhalle jaisi ek roti aur bin-khameer ki ek paapdi lega. woh yah sab naazeer ki hatheliyon par rakhega jisne apni mannat ki nishani yaani sir ke baal mundvaye hain. 20 tab yaajak yahova ke saamne woh cheezen aage-peechhe hilayega. yah hilakar diya jaanevala chadhava hai.+ ye cheezen, saath hi hilakar diye jaanevale chadhave ke jaanvar ka seena aur pavitra hisse ka pair,+ yaajak ke liye pavitra hain. is tarah naazeer bankar seva karne ki apni mannat poori karne ke baad woh aadmi daakh-madira pi sakta hai.
21 agar ek naazeer, kaanoon mein maang ki gayi in cheezon ke alava kuch aur cheezen yahova ko dene ki haisiyat rakhta hai aur woh dene ka vaada karta hai, to us par yah niyam laagoo hoga+ ki woh har haal mein apna vaada poora kare aur un cheezon ka chadhava chadhaye.’”
22 fir yahova ne moosa se kaha, 23 “haaroon aur uske beton se kehna, ‘tumhein israel ke logon ko is tarah aasheervad dena chahiye.+ tum unse kehna:
24 “yahova tumhein aasheesh de+ aur tumhari hifazat kare.
25 yahova apne mukh ka prakash tum par chamkaye+ aur tum par kripa kare.
26 yahova apna mukh teri or kare aur tumhein shaanti de.”’+
27 yaajak mera naam lekar+ israel ke logon ko aasheervad diya karein taaki main unhein aasheesh doon.”+